gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai
gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
gila-shikva kahāñ rahtā hai dil ham-sāz hotā hai
mohabbat meñ to har ik jurm nazar-andāz hotā hai
laboñ par qufl āñkhoñ meñ lihāz-e-nāz hotā hai
mohabbat karne vāloñ kā 'ajab andāz hotā hai
ishāre kaam karte haiñ mohabbat meñ nigāhoñ ke
nigāhoñ se hī bāham inkishāf-e-rāz hotā hai
guzartī hai jo us par sab gavārā kartā hai ḳhush ḳhush
jafāoñ se tumhārī dil kahāñ nārāz hotā hai
har ik se ham to be-shak karte haiñ talqīn ulfat kī
baḌā taqdīr vaalā hī koī ham-sāz hotā hai
sukūn-e-qalb hāsil hai pareshāñ maiñ nahīñ dilbar
jo tum se duur hotā hai vahī nā-sāz hotā hai
maiñ huuñ shākī o nāzāñ to faqat is rasm-e-duniyā se
vahī ġhammāz ho jaatā hai jo hamrāz hotā hai
nahīñ hai gar ye duniyā bhī haqīqat se hī vābasta
to kyuuñ dil is kī jānib mā.il-e-parvāz hotā hai
baḌī tabdīliyāñ hotī haiñ ulfat un se hone par
zamīr-e-ḳhud-ġharz kā sāz-e-be-āvāz hotā hai
samajhte haiñ hamīñ haiñ hukmarāñ is saare 'ālam ke
nazar meñ jab hamārī vo hasīñ andāz hotā hai
nazar aatā hai har sū jalvā-e-anvar meñ ġharq 'ālam
dil-e-pur-kaif behis dar-haqīqat baaz hotā hai
judā-gāna magar andāz hotā hai har 'āshiq kā
machātā hai koī ġhul koī be-āvāz hotā hai
safar manzil-ba-manzil tai kiyā jaatā hai ulfat kā
baḌī muddat meñ sar vo bārgāh-e-nāz hotā hai
vahī hai kāmrāñ 'āshiq jo us ko paar kar jaa.e
diloñ ke darmiyāñ jo ik jahān-e-rāz hotā hai
baḌhā aur un se vāqif ho ki āzār-e-ġham-e-furqat
duī ke farsh kā ehsās be-andāz hotā hai
tanāsuḳh hai musalsal ibtadā-e-āfrīnash meñ
hayāt-e-jāvedāñ meñ kaun daḳhl-andāz hotā hai
na ham-pesha na ham-ḳhāna na ham-pyāla na ham-bistar
vahī apnā hai 'rahbar' jo bhī ham-āvāz hotā hai
gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai
mohabbat mein to har ek jurm nazar-andaz hota hai
labon par qufl aankhon mein lihaz-e-naz hota hai
mohabbat karne walon ka 'ajab andaz hota hai
ishaare kaam karte hain mohabbat mein nigahon ke
nigahon se hi baham inkishaf-e-raaz hota hai
guzarti hai jo us par sab gawara karta hai KHush KHush
jafaon se tumhaari dil kahan naraaz hota hai
har ek se hum to be-shak karte hain talqin ulfat ki
baDa taqdir wala hi koi ham-saz hota hai
sukun-e-qalb hasil hai pareshan main nahin dilbar
jo tum se dur hota hai wahi na-saz hota hai
main hun shaki o nazan to faqat is rasm-e-duniya se
wahi ghammaz ho jata hai jo hamraaz hota hai
nahin hai gar ye duniya bhi haqiqat se hi wabasta
to kyun dil is ki jaanib mail-e-parwaz hota hai
baDi tabdiliyan hoti hain ulfat un se hone par
zamir-e-KHud-gharz ka saz-e-be-awaz hota hai
samajhte hain hamin hain hukmaran is sare 'alam ke
nazar mein jab hamari wo hasin andaz hota hai
nazar aata hai har su jalwa-e-anwar mein gharq 'alam
dil-e-pur-kaif behis dar-haqiqat baz hota hai
juda-gana magar andaz hota hai har 'ashiq ka
machata hai koi ghul koi be-awaz hota hai
safar manzil-ba-manzil tai kiya jata hai ulfat ka
baDi muddat mein sar wo bargah-e-naz hota hai
wahi hai kaamran 'ashiq jo us ko par kar jae
dilon ke darmiyan jo ek jahan-e-raaz hota hai
baDha aur un se waqif ho ki aazar-e-gham-e-furqat
dui ke farsh ka ehsas be-andaz hota hai
tanasuKH hai musalsal ibtada-e-afrinash mein
hayat-e-jawedan mein kaun daKHl-andaz hota hai
na ham-pesha na ham-KHana na ham-pyala na ham-bistar
wahi apna hai 'rahbar' jo bhi ham-awaz hota hai
- Book : Payam-e-rehber (Pg. 61)
- Author : Jitendr Mohan Sinha'rehber'
- Publication : Karanti OM Parkashan, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.