gila use hai agar aa ke ru-baru to kare
gila use hai agar aa ke rū-barū to kare
yaqīñ kare na kare ham se guftugū to kare
vo bad-gumāñ hai to iqrār kyoñ nahīñ kartā
vo sargirāñ hai to iz.hār dū-badū to kare
vo kyoñ hai chīñ-ba-jabīñ raaz to khule āḳhir
charāġh-pā hai vo kyoñ koī justujū to kare
na barq hai na sharāra na sho’la-e-ḳhurshīd
magar nigāh koī us ke rū-barū to kare
maiñ kyā kahūñ lab-e-goyā ne saath chhoḌ diyā
vo kah rahe haiñ ki ye sharh-e-ārzū to kare
shikast ho ke bhī be-dast-o-pā na ho koī
jo aur kuchh na kare hifz-e-ābrū to kare
tamām ho kisī sūrat ye dāstān-e-sitam
vo ḳhatm kashmakash-e-ḳhanjar-o-gulū to kare
kare na 'bazm' koī gum-rahī pe tā’na-zanī
maiñ kho gayā huuñ koī merī justujū to kare
gila use hai agar aa ke ru-baru to kare
yaqin kare na kare hum se guftugu to kare
wo bad-guman hai to iqrar kyon nahin karta
wo sargiran hai to izhaar du-badu to kare
wo kyon hai chin-ba-jabin raaz to khule aaKHir
charagh-pa hai wo kyon koi justuju to kare
na barq hai na sharara na sho’la-e-KHurshid
magar nigah koi us ke ru-baru to kare
main kya kahun lab-e-goya ne sath chhoD diya
wo kah rahe hain ki ye sharh-e-arzu to kare
shikast ho ke bhi be-dast-o-pa na ho koi
jo aur kuchh na kare hifz-e-abru to kare
tamam ho kisi surat ye dastan-e-sitam
wo KHatm kashmakash-e-KHanjar-o-gulu to kare
kare na 'bazm' koi gum-rahi pe ta’na-zani
main kho gaya hun koi meri justuju to kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.