gila nahin jo wo begana-war guzre hain
gilā nahīñ jo vo begāna-vār guzre haiñ
ham aise ahl-e-suḳhan be-shumār guzre haiñ
taras na khaao mirī shiddat-e-tabāhī par
ki umr bhar yahī lail-o-nahār guzre haiñ
tamām-umr rahā ḳhauf-e-nā-pazīrā.ī
jidhar se guzre haiñ dīvāna-vār guzre haiñ
hamīñ se tazkira-e-qahat-e-āshiqāñ tauba
hamīñ to kal tire kūche se yaar guzre haiñ
rahīn-e-vaz-e-buzurgāñ hai apnā dil ya.anī
tire hī shahr meñ tujh se hazār guzre haiñ
hamārā naam bhī rakhiye fasāna-ḳhvānoñ meñ
ki ham bhī apne savāneh-nigār guzre haiñ
ham apne josh-e-tamannā meñ bhuul baiThe the
ki ham se aur bhī ummīd-vār guzre haiñ
is anjuman meñ tujhe kaun pūchhtā 'ālī'
hazār tujh se ġharīb-ud-dayār guzre haiñ
gila nahin jo wo begana-war guzre hain
hum aise ahl-e-suKHan be-shumar guzre hain
taras na khao meri shiddat-e-tabahi par
ki umr bhar yahi lail-o-nahaar guzre hain
tamam-umr raha KHauf-e-na-pazirai
jidhar se guzre hain diwana-war guzre hain
hamin se tazkira-e-qahat-e-ashiqan tauba
hamin to kal tere kuche se yar guzre hain
rahin-e-waz-e-buzurgan hai apna dil yani
tere hi shahr mein tujh se hazar guzre hain
hamara nam bhi rakhiye fasana-KHwanon mein
ki hum bhi apne sawaneh-nigar guzre hain
hum apne josh-e-tamanna mein bhul baiThe the
ki hum se aur bhi ummid-war guzre hain
is anjuman mein tujhe kaun puchhta 'ali'
hazar tujh se gharib-ud-dayar guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.