gir paDa tu aaKHiri zine ko chhu kar kis liye
gir paḌā tū āḳhirī ziine ko chhū kar kis liye
aa gayā phir āsmānoñ se zamīñ par kis liye
ā.īna-ḳhānoñ meñ chhup kar rahne vaale aur haiñ
tum ne hāthoñ meñ uThā rakkhe haiñ patthar kis liye
maiñ ne apnī har masarrat dūsroñ ko baḳhsh dī
phir ye hañgāma bapā hai ghar se bāhar kis liye
aks paḌte hī musavvir kā qalam tharrā gayā
naqsh ik āb-e-ravāñ par hai ujāgar kis liye
ek hī fankār ke shahkār haiñ duniyā ke log
koī bartar kis liye hai koī kam-tar kis liye
ḳhushbuoñ ko mausamoñ kā zahr piinā hai abhī
apnī sāñseñ kar rahe ho yuuñ mo.attar kis liye
itnī ahmiyat ke qābil to na thā miTTī kā ghar
ek nuqte meñ simaT aayā samundar kis liye
pūchhtā huuñ sab se afzal koī batlātā nahīñ
bebasī kī maut marte haiñ suḳhan-var kis liye
gir paDa tu aaKHiri zine ko chhu kar kis liye
aa gaya phir aasmanon se zamin par kis liye
aaina-KHanon mein chhup kar rahne wale aur hain
tum ne hathon mein uTha rakkhe hain patthar kis liye
main ne apni har masarrat dusron ko baKHsh di
phir ye hangama bapa hai ghar se bahar kis liye
aks paDte hi musawwir ka qalam tharra gaya
naqsh ek aab-e-rawan par hai ujagar kis liye
ek hi fankar ke shahkar hain duniya ke log
koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye
KHushbuon ko mausamon ka zahr pina hai abhi
apni sansen kar rahe ho yun moattar kis liye
itni ahmiyat ke qabil to na tha miTTi ka ghar
ek nuqte mein simaT aaya samundar kis liye
puchhta hun sab se afzal koi batlata nahin
bebasi ki maut marte hain suKHan-war kis liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.