Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gira paDa ke na yun tar tar kar mujhko

Ismail Raaz

gira paDa ke na yun tar tar kar mujhko

Ismail Raaz

MORE BYIsmail Raaz

    girā paḌā ke na yuuñ taar taar kar mujh ko

    mire havāle kar de pukār kar mujh ko

    mirī talāsh meñ kaun aa.egā mire andar

    yahīñ pe pheñk diyā jaa.e maar kar mujh ko

    maiñ jitnā qīmtī huuñ utnā bad-nasīb bhī huuñ

    vo so rahā hai gale se utaar kar mujh ko

    gira paDa ke na yun tar tar kar mujh ko

    mere hawale hi kar de pukar kar mujh ko

    meri talash mein kaun aaega mere andar

    yahin pe phenk diya jae mar kar mujh ko

    main jitna qimti hun utna bad-nasib bhi hun

    wo so raha hai gale se utar kar mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now