giran hai talKHi-e-lamhat pyare
girāñ hai talḳhī-e-lamhāt pyāre
sudhar jā.eñge sab hālāt pyāre
koī ilzām kyoñ mujh par lagegā
ġhalat kartā huuñ maiñ kab baat pyāre
maiñ dard-o-karb meñ Duubā huā huuñ
kaTegī kis tarah se raat pyāre
tire lutf-o-karam se jī rahā huuñ
nahīñ varna mirī auqāt pyāre
nahīñ mālūm is duniyā ne kyoñ kar
lagā rakhī hai mujh par ghaat pyāre
miTā.eñ ham ġhalat fahmī hai jo bhī
haiñ dil meñ kis liye ḳhadshāt pyāre
nahīñ koī mazā phir zindagī kā
hue majrūh jab jazbāt pyāre
kahāñ tak is tarah 'premī' jiyeñge
baḌe haiñ dil-shikan hālāt pyāre
giran hai talKHi-e-lamhat pyare
sudhar jaenge sab haalat pyare
koi ilzam kyon mujh par lagega
ghalat karta hun main kab baat pyare
main dard-o-karb mein Duba hua hun
kaTegi kis tarah se raat pyare
tere lutf-o-karam se ji raha hun
nahin warna meri auqat pyare
nahin malum is duniya ne kyon kar
laga rakhi hai mujh par ghat pyare
miTaen hum ghalat fahmi hai jo bhi
hain dil mein kis liye KHadshat pyare
nahin koi maza phir zindagi ka
hue majruh jab jazbaat pyare
kahan tak is tarah 'premi' jiyenge
baDe hain dil-shikan haalat pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.