Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girani-zada KHak meri baDi hai

Navin Joshi

girani-zada KHak meri baDi hai

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    girānī-zada ḳhaak merī baḌī hai

    jahāñ par paḌī thī vahīñ par aḌī hai

    agar huuñ maiñ zinda to miTTī se merī

    jo mar jā.ūñ to laash isī meñ gaḌī hai

    ise is qadar kyoñ sambhāle rakhā hai

    ye miTTī hāñDī to ḳhālī paḌī hai

    bahut der se aa.ina hai bulātā

    ḳhudī se taqābul aa.ī ghaḌī hai

    mujhe Dar nahīñ rāhoñ pech-o-ḳham

    har ik moḌ par merī qismat khaḌī hai

    ḳhayyāt yuuñ malāmat na karnā

    qabā siyāhī sitāroñ jaḌī hai

    kabhī thaam le aur kabhī baḌhā de

    'navā' yuuñ hāthoñ juḌtī kaḌī hai

    girani-zada KHak meri baDi hai

    jahan par paDi thi wahin par aDi hai

    agar hun main zinda to miTTi se meri

    jo mar jaun to lash isi mein gaDi hai

    ise is qadar kyon sambhaale rakha hai

    ye miTTi ki hanDi to KHali paDi hai

    bahut der se aaina hai bulata

    KHudi se taqabul ki aai ghaDi hai

    mujhe Dar nahin rahon ki pech-o-KHam ka

    har ek moD par meri qismat khaDi hai

    tu KHayyat ki yun malamat na karna

    qaba ki siyahi sitaron jaDi hai

    kabhi tham le aur kabhi tu baDha de

    'nawa' yun hi hathon ki juDti kaDi hai

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now