giraft-e-sabit-o-sayyar se nikal aaya
giraft-e-sābit-o-sayyār se nikal aayā
maiñ ik kiran thā shab-e-tār se nikal aayā
mire lahū ne kahāñ paar utārnā thā mujhe
ye rāsta tirī talvār se nikal aayā
yahāñ vo hashr bapā thā ki maiñ bhī āḳhir-kār
agarche naqsh thā dīvār se nikal aayā
tamām jāda-shanāsoñ kī gumrahī kā javāz
zarā sī masti-e-raftār se nikal aayā
mirī balā se jo ho kārobār-e-shauq tabāh
maiñ ḳhud ko bech ke bāzār se nikal aayā
giraft-e-sabit-o-sayyar se nikal aaya
main ek kiran tha shab-e-tar se nikal aaya
mere lahu ne kahan par utarna tha mujhe
ye rasta teri talwar se nikal aaya
yahan wo hashr bapa tha ki main bhi aaKHir-kar
agarche naqsh tha diwar se nikal aaya
tamam jada-shanason ki gumrahi ka jawaz
zara si masti-e-raftar se nikal aaya
meri bala se jo ho karobar-e-shauq tabah
main KHud ko bech ke bazar se nikal aaya
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 108)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.