giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
giraftārī kī lazzat aur nirā āzād kyā jaane
ḳhushī se kāTnā ġham kā dil-e-nāshād kyā jaane
isī ġhaflat se lazzat haigī hāsil ḳhvāb-e-shīrīñ meñ
hamārī talḳh-kāmī kā mazā farhād kyā jaane
tasavvur sūrat-e-ma.anī kā bāñdhe hai qusūr-e-dil
haqīqat kī ye san.at mānī-o-bahzād kyā jaane
taraddud meñ hai mere zab.h ke ai 'ishq' vo ab tak
nigāh-e-nāz se bismil huā jallād kyā jaane
giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
KHushi se kaTna gham ka dil-e-nashad kya jaane
isi ghaflat se lazzat haigi hasil KHwab-e-shirin mein
hamari talKH-kaami ka maza farhad kya jaane
tasawwur surat-e-mani ka bandhe hai qusur-e-dil
haqiqat ki ye sanat mani-o-bahzad kya jaane
taraddud mein hai mere zabh ke ai 'ishq' wo ab tak
nigah-e-naz se bismil hua jallad kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.