girah mein rishwat ka mal rakhiye
girah meñ rishvat kā maal rakhiye
zarūratoñ ko bahāl rakhiye
bichhā.e rakhiye añdherā har-sū
sitāra koī uchhāl rakhiye
are ye dil aur itnā ḳhālī
koī musībat hī paal rakhiye
jahāñ ki bas ik tilism sā hai
na TuuT jaa.e ḳhayāl rakhiye
tuḌā-muḌā hai magar ḳhudā hai
ise to sāhab sambhāl rakhiye
tamām ranjish ko dil se 'alvī'
vo aa rahā hai nikāl rakhiye
girah mein rishwat ka mal rakhiye
zaruraton ko bahaal rakhiye
bichhae rakhiye andhera har-su
sitara koi uchhaal rakhiye
are ye dil aur itna KHali
koi musibat hi pal rakhiye
jahan ki bas ek tilism sa hai
na TuT jae KHayal rakhiye
tuDa-muDa hai magar KHuda hai
ise to sahab sambhaal rakhiye
tamam ranjish ko dil se 'alwi'
wo aa raha hai nikal rakhiye
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 56)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.