giri wo charKH se bijli jala wo aashiyan apna
girī vo charḳh se bijlī jalā vo āshiyāñ apnā
miTā vo dekhte hī dekhte nām-o-nishāñ apnā
maiñ sajda is kashākash meñ kabhī kar hī nahīñ saktā
idhar dair-o-haram apne udhar vo āstāñ apnā
ḳhudā sharmā.e aise irtibāt-e-ahl-e-duniyā ko
ki jo hai rāz-dāñ un kā vahī hai rāz-dāñ apnā
koī kyoñ tuur par ḳhanda-zan-e-zauq-e-nazar hotā
kalīm apnī jagah karnā thā pahle imtihāñ apnā
mujhe kyā vo ġham-e-duniyā ho yā uftād-e-mahshar ho
na koī hai yahāñ apnā na koī hai vahāñ apnā
ye manzar soḳhta-jānoñ ke hai pesh-e-nazar har dam
ki jaise sāmne vo jal rahā hai āshiyāñ apnā
dam-e-ruḳhsat bas itnī aarzū hai ai chaman vaalo
hamāre āshiyāne ko samajhnā āshiyāñ apnā
koī had bhī hai is zauq-e-tan-āsānī kī ai 'afqar'
ajal kā ḳhvāb ab to ho gayā ḳhvāb-e-girāñ apnā
giri wo charKH se bijli jala wo aashiyan apna
miTa wo dekhte hi dekhte nam-o-nishan apna
main sajda is kashakash mein kabhi kar hi nahin sakta
idhar dair-o-haram apne udhar wo aastan apna
KHuda sharmae aise irtibaat-e-ahl-e-duniya ko
ki jo hai raaz-dan un ka wahi hai raaz-dan apna
koi kyon tur par KHanda-zan-e-zauq-e-nazar hota
kalim apni jagah karna tha pahle imtihan apna
mujhe kya wo gham-e-duniya ho ya uftad-e-mahshar ho
na koi hai yahan apna na koi hai wahan apna
ye manzar soKHta-jaanon ke hai pesh-e-nazar har dam
ki jaise samne wo jal raha hai aashiyan apna
dam-e-ruKHsat bas itni aarzu hai ai chaman walo
hamare aashiyane ko samajhna aashiyan apna
koi had bhi hai is zauq-e-tan-asani ki ai 'afqar'
ajal ka KHwab ab to ho gaya KHwab-e-giran apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.