girta hi ja raha hai kyon mear din-ba-din
girtā hī jā rahā hai kyoñ me.aar din-ba-din
ham par hī chal rahī hai kyoñ talvār din-ba-din
terī badal rahī hai jo guftār din-ba-din
detā hai be-sabab hameñ āzār din-ba-din
āñkhoñ se ashk ban ke barastī hai terī yaad
yuuñ zaḳhm ho rahe haiñ numūdār din-ba-din
pahlī sī baat tujh meñ kahāñ ab rahī maujūd
tevar badal rahe haiñ tire yaar din-ba-din
hai āḳhirī kalām merā sun to lījiye
jiinā tire binā huā dushvār din-ba-din
sach baat hai ki ab hayā baaqī nahīñ rahī
'mohsin' badal rahe haiñ ab atvār din-ba-din
girta hi ja raha hai kyon mear din-ba-din
hum par hi chal rahi hai kyon talwar din-ba-din
teri badal rahi hai jo guftar din-ba-din
deta hai be-sabab hamein aazar din-ba-din
aankhon se ashk ban ke barasti hai teri yaad
yun zaKHm ho rahe hain numudar din-ba-din
pahli si baat tujh mein kahan ab rahi maujud
tewar badal rahe hain tere yar din-ba-din
hai aaKHiri kalam mera sun to lijiye
jina tere bina hua dushwar din-ba-din
sach baat hai ki ab haya baqi nahin rahi
'mohsin' badal rahe hain ab atwar din-ba-din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.