girya dil ko na su-e-chashm bahao
girya dil ko na sū-e-chashm bahāo
Dūbtī hai bhañvar meñ jā kar naav
na galī apnī vaañ kabhī khichḌī
nit pakāte rahe ḳhayālī polāv
dil hai ai naala juuñ kabāb-e-varaq
aañch kam de ye khā na jaa.e taav
bosa lete meñ kaaT khāte ho
kyā tumhārā burā paḌā hai subhāv
jī pe yaañ ban rahī hai ye to kaho
aaj kīdhar chale ho kar ke banāv
kyuuñ ke rakhkhūñ qadam galī meñ tirī
vaañ to paḌtā nahīñ hai apnā havāv
ātish-e-me.ada ko nahīñ serī
juuñ jahannam kare hai laav hī laav
dil jo maiñ gum kiyā to tum ko kyā
yaaro is baat kā karo na chuvāv
thī shab-e-vasl par ḳhayāl ke saath
ham ne dil se nikāle kyā kyā chaao
dah-e-dil hai ta.alluqe meñ tire
ḳhvāh uujaḌ kar is ko ḳhvāh basāo
marham-e-lutf muñh na moḌiyo to
abhī aale haiñ sab jigar ke ghaao
ye zamīñ bhī hai turfa ma.anī-ḳhez
'mus.hafī' ik ġhazal to aur sunāo
girya dil ko na su-e-chashm bahao
Dubti hai bhanwar mein ja kar naw
na gali apni wan kabhi khichDi
nit pakate rahe KHayali polaw
dil hai ai nala jun kabab-e-waraq
aanch kam de ye kha na jae taw
bosa lete mein kaT khate ho
kya tumhaara bura paDa hai subhaw
ji pe yan ban rahi hai ye to kaho
aaj kidhar chale ho kar ke banaw
kyun ke rakhkhun qadam gali mein teri
wan to paDta nahin hai apna hawaw
aatish-e-meada ko nahin seri
jun jahannam kare hai law hi law
dil jo main gum kiya to tum ko kya
yaro is baat ka karo na chuwaw
thi shab-e-wasl par KHayal ke sath
hum ne dil se nikale kya kya chao
dah-e-dil hai talluqe mein tere
KHwah ujaD kar is ko KHwah basao
marham-e-lutf munh na moDiyo to
abhi aale hain sab jigar ke ghao
ye zamin bhi hai turfa mani-KHez
'mushafi' ek ghazal to aur sunao
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.