girya-e-shab ki shahadat ke liye jagte hain
girya-e-shab kī shahādat ke liye jāgte haiñ
ye sitāre koī saa.at ke liye jāgte haiñ
ḳhauf aisā hai ki ham band makānoñ meñ bhī
sone vāloñ kī hifāzat ke liye jāgte haiñ
umr guzrī hai tirī sajda-varī meñ lekin
aaj ham apnī ibādat ke liye jāgte haiñ
pahle ham karte haiñ tasvīr meñ uryāñ tirā ḳhvāb
aur phir us kī hifāzat ke liye jāgte haiñ
lafz-dar-lafz paḌhā karte haiñ terī sūrat
rāt-bhar terī tilāvat ke liye jāgte haiñ
girya-e-shab ki shahadat ke liye jagte hain
ye sitare koi saat ke liye jagte hain
KHauf aisa hai ki hum band makanon mein bhi
sone walon ki hifazat ke liye jagte hain
umr guzri hai teri sajda-wari mein lekin
aaj hum apni ibaadat ke liye jagte hain
pahle hum karte hain taswir mein uryan tera KHwab
aur phir us ki hifazat ke liye jagte hain
lafz-dar-lafz paDha karte hain teri surat
raat-bhar teri tilawat ke liye jagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.