girya-e-shabnam gulon ki chaak-damani ki baat
girya-e-shabnam guloñ kī chāk-dāmānī kī baat
kis ne samjhā nik.hat-e-gul kī pareshānī kī baat
jab se badlā hai zamāne kā nizām-e-eqtidār
rāhzan karte haiñ manzil kī nigahbānī kī baat
shikva-e-jaur-o-jafā be-sūd hai un ke huzūr
zikr-e-iḳhlās-o-vafā se jahl-o-nādānī kī baat
āstīnoñ meñ liye phirte haiñ ho ḳhanjar mudām
vo bhī karte haiñ falāh-e-nau-e-insānī kī baat
aql se nā-āshnā ilm-o-hunar se be-ḳhabar
maiñ nahīñ kartā kisī se bhī hama-dānī kī baat
bā.is-e-taskīn hai 'vāris' har ghaḌī mere liye
mid.hat-e-ḳhair-ul-bashar mahbūb-e-rabbānī kī baat
girya-e-shabnam gulon ki chaak-damani ki baat
kis ne samjha nikhat-e-gul ki pareshani ki baat
jab se badla hai zamane ka nizam-e-eqtidar
rahzan karte hain manzil ki nigahbani ki baat
shikwa-e-jaur-o-jafa be-sud hai un ke huzur
zikr-e-iKHlas-o-wafa se jahl-o-nadani ki baat
aastinon mein liye phirte hain ho KHanjar mudam
wo bhi karte hain falah-e-nau-e-insani ki baat
aql se na-ashna ilm-o-hunar se be-KHabar
main nahin karta kisi se bhi hama-dani ki baat
bais-e-taskin hai 'waris' har ghaDi mere liye
midhat-e-KHair-ul-bashar mahbub-e-rabbani ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.