go aur bhi gham shamil-e-gham ho ke rahenge
go aur bhī ġham shāmil-e-ġham ho ke raheñge
ham fāteh-e-har-ranj-o-alam ho ke raheñge
be-bākī-e-tahrīr ye dastūr-e-ḳhudāvand
ik roz mire haath qalam ho ke raheñge
ai mard-e-suḳhan jurm-e-suḳhan ḳhuub haiñ lekin
ye jurm tire ḳhuuñ se raqam ho ke raheñge
ka.abe se nikāle hue but pūjne vaalo
kyā phir ye shanāsā-e-haram ho ke raheñge
kahte haiñ ki har qatra-e-tūfāñ ko dabā do
qatroñ ko ye zid hai ki vo yam ho ke raheñge
go aur bhi gham shamil-e-gham ho ke rahenge
hum fateh-e-har-ranj-o-alam ho ke rahenge
be-baki-e-tahrir ye dastur-e-KHudawand
ek roz mere hath qalam ho ke rahenge
ai mard-e-suKHan jurm-e-suKHan KHub hain lekin
ye jurm tere KHun se raqam ho ke rahenge
kabe se nikale hue but pujne walo
kya phir ye shanasa-e-haram ho ke rahenge
kahte hain ki har qatra-e-tufan ko daba do
qatron ko ye zid hai ki wo yam ho ke rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.