go maut ke ghaT utar gae hum
go maut ke ghaaT utar ga.e ham
par ishq sā kaam kar ga.e ham
maiḳhāne se le ke tā-ba-zindāñ
tere liye dar-ba-dar ga.e ham
phūTī jo koī kiran ḳhushī kī
to ba.ad ke ġham se Dar ga.e ham
tum ne to sikhā diyā hameñ sabr
tum bigḌe rahe sañvar ga.e ham
jis moḌ meñ rah ga.e hazāroñ
us moḌ se bhī guzar ga.e ham
go maut ke ghaT utar gae hum
par ishq sa kaam kar gae hum
maiKHane se le ke ta-ba-zindan
tere liye dar-ba-dar gae hum
phuTi jo koi kiran KHushi ki
to baad ke gham se Dar gae hum
tum ne to sikha diya hamein sabr
tum bigDe rahe sanwar gae hum
jis moD mein rah gae hazaron
us moD se bhi guzar gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.