go mere dil ke zaKHm zati hain
go mire dil ke zaḳhm zaatī haiñ
in kī Tīseñ to kā.enātī haiñ
aadmī shash-jahāt kā dūlhā
vaqt kī gardisheñ barātī haiñ
faisle kar rahe haiñ arsh-nashīñ
āfateñ aadmī pe aatī haiñ
kaliyāñ kis daur ke tasavvur meñ
ḳhuun hote hī muskurātī haiñ
tere vaade hoñ jin ke shāmil-e-hāl
vo umañgeñ kahāñ samātī haiñ
go mere dil ke zaKHm zati hain
in ki Tisen to kaenati hain
aadmi shash-jahat ka dulha
waqt ki gardishen baraati hain
faisle kar rahe hain arsh-nashin
aafaten aadmi pe aati hain
kaliyan kis daur ke tasawwur mein
KHun hote hi muskuraati hain
tere wade hon jin ke shamil-e-haal
wo umangen kahan samati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.