go sada tumne kaj-adai ki
go sadā tum ne kaj-adā.ī kī
ham ne har zulm kī samā.ī kī
dil ke dil meñ rahe mere armāñ
aa ga.ī umr pārsā.ī kī
us ke va.ade kā e'tibār kiyā
jis kī aadat ho bevafā.ī kī
hech nazroñ meñ ho ga.ī shāhī
jab tire dar kī jubba-sā.ī kī
ham se qaa.em 'vafā' kā naam rahā
tum se izzat hai bevafā.ī kī
go sada tum ne kaj-adai ki
hum ne har zulm ki samai ki
dil ke dil mein rahe mere arman
aa gai umr parsai ki
us ke wade ka e'tibar kiya
jis ki aadat ho bewafai ki
hech nazron mein ho gai shahi
jab tere dar ki jubba-sai ki
hum se qaem 'wafa' ka nam raha
tum se izzat hai bewafai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.