go yan na kisi ko aae afsos
go yaañ na kisī ko aa.e afsos
hālat to hai apnī jā-e-afsos
dete to diyā meñ dil ko lekin
chāra nahīñ ab sivā.e-afsos
huuñ kushta maiñ vaañ ki jis jagah meñ
koī na kisī pe khaa.e afsos
juuñ sham.a agar na sar dhunūñ meñ
kyā kaam karūñ varā-e-afsos
chalte hue ahl-e-bazm ne yaañ
chhoḌā hai mujhe barā.e-afsos
'qā.em' vo amal ki ba.ad tere
ik ḳhalq kahe ki haa.e afsos
go yan na kisi ko aae afsos
haalat to hai apni ja-e-afsos
dete to diya mein dil ko lekin
chaara nahin ab siwae-afsos
hun kushta main wan ki jis jagah mein
koi na kisi pe khae afsos
jun shama agar na sar dhunun mein
kya kaam karun wara-e-afsos
chalte hue ahl-e-bazm ne yan
chhoDa hai mujhe barae-afsos
'qaem' wo amal ki baad tere
ek KHalq kahe ki hae afsos
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.