goshe badal badal ke har ek raat kaT di
goshe badal badal ke har ik raat kaaT dī
kachche makāñ meñ ab ke bhī barsāt kaaT dī
vo sar bhī kaaT detā to hotā na kuchh malāl
afsos ye hai us ne mirī baat kaaT dī
dil bhī lahūluhān hai āñkheñ bhī haiñ udaas
shāyad anā ne shah-rag-e-jazbāt kaaT dī
jab bhī hameñ charāġh mayassar na aa sakā
sūraj ke zikr se shab-e-zulmāt kaaT dī
jādūgarī kā khel adhūrā hī rah gayā
darvesh ne shabīh-e-tilismāt kaaT dī
hālāñki ham mile the baḌī muddatoñ ke ba.ad
auqāt kī kamī ne mulāqāt kaaT dī
ThanDī havā.eñ mahkī fazā narm chāñdnī
shab to bas ek thī jo tire saat kaaT dī
goshe badal badal ke har ek raat kaT di
kachche makan mein ab ke bhi barsat kaT di
wo sar bhi kaT deta to hota na kuchh malal
afsos ye hai us ne meri baat kaT di
dil bhi lahuluhan hai aankhen bhi hain udas
shayad ana ne shah-rag-e-jazbaat kaT di
jab bhi hamein charagh mayassar na aa saka
suraj ke zikr se shab-e-zulmat kaT di
jadugari ka khel adhura hi rah gaya
darwesh ne shabih-e-tilismat kaT di
haalanki hum mile the baDi muddaton ke baad
auqat ki kami ne mulaqat kaT di
ThanDi hawaen mahki faza narm chandni
shab to bas ek thi jo tere sat kaT di
- Book : Kashkol (Pg. 122)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.