goya chaman chaman na tha
goyā chaman chaman na thā
aisā ujaaḌ ban na thā
ḳhuuñ se tar ravish ravish
rañg-e-gul-o-saman na thā
ḳhār-e-alam se taar taar
kaun sā pairahan na thā
sikka-e-dil ḳharāb-hāl
us kā kahīñ chalan na thā
aaj agar guzar gayā
kal kā koī jatan na thā
bazm-e-adab bhī dam-ba-ḳhud
kahne ko kuchh suḳhan na thā
nasr tamām tar fuzūl
sher asar-e-fagan na thā
goya chaman chaman na tha
aisa ujaD ban na tha
KHun se tar rawish rawish
rang-e-gul-o-saman na tha
KHar-e-alam se tar tar
kaun sa pairahan na tha
sikka-e-dil KHarab-haal
us ka kahin chalan na tha
aaj agar guzar gaya
kal ka koi jatan na tha
bazm-e-adab bhi dam-ba-KHud
kahne ko kuchh suKHan na tha
nasr tamam tar fuzul
sher asar-e-fagan na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.