goya har kaam maslahat ke sath
goyā har kaam maslahat ke saath
ḳhud-kushī bhī mushāvarat ke saath
tum ne phuul ibtidā meñ dekhā thā
ab khulā hai na.ī parat ke saath
ilm thā ġhaar kī tavālat kā
sarf kī raushnī bachat ke saath
hai alag faiz ham daraḳhtoñ kā
rāstoñ kī munāsibat ke saath
jaise dīvān-e-'mīr' paḌhte ho
dil bhī paḌhte ho kyā luġhat ke saath
āḳhirī sā.atoñ kī ḳhushiyāñ haiñ
lag ga.e haiñ ġhubāre chhat ke saath
aao ik dūsre ko dekhte haiñ
ā.īne kī muāvinat ke saath
ġhazal apnī zamīn meñ likkhī
rūh-e-'ġhālib' se ma.azarat ke saath
goya har kaam maslahat ke sath
KHud-kushi bhi mushawarat ke sath
tum ne phul ibtida mein dekha tha
ab khula hai nai parat ke sath
ilm tha ghaar ki tawalat ka
sarf ki raushni bachat ke sath
hai alag faiz hum daraKHton ka
raston ki munasibat ke sath
jaise diwan-e-'mir' paDhte ho
dil bhi paDhte ho kya lughat ke sath
aaKHiri saaton ki KHushiyan hain
lag gae hain ghubare chhat ke sath
aao ek dusre ko dekhte hain
aaine ki muawinat ke sath
ghazal apni zamin mein likkhi
ruh-e-'ghaalib' se mazarat ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.