goya ki chhini pairon ke niche ki zamin hai
goyā ki chhinī pairoñ ke nīche kī zamīñ hai
kyā paas tire jhūTī tasallī bhī nahīñ hai
ham ne to use kar hī diyā dil se bahut duur
par us kā ḳhayāl us kī mohabbat to yahīñ hai
ma.alūm hai yārab hai tū shah-e-rag se qarīñ-tar
vo shaḳhs magar jo mirī dhaḌkan ke qarīñ hai
haiñ aap hī kyuuñ hālat-e-afsos kī jā par
kyā hogī 'an.am' aap kī jab apnī nahīñ hai
goya ki chhini pairon ke niche ki zamin hai
kya pas tere jhuTi tasalli bhi nahin hai
hum ne to use kar hi diya dil se bahut dur
par us ka KHayal us ki mohabbat to yahin hai
malum hai yarab hai tu shah-e-rag se qarin-tar
wo shaKHs magar jo meri dhaDkan ke qarin hai
hain aap hi kyun haalat-e-afsos ki ja par
kya hogi 'anam' aap ki jab apni nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.