goya laTon ki Dor se bandha hua hai chand
goyā laToñ kī Dor se bāñdhā huā hai chāñd
dekho siyāh zulf meñ kaise phañsā hai chāñd
pūnam ke baad dekhā nahīñ saat din use
maiñ ne sunā hai ruuTh kar aadhā huā hai chāñd
pahle jamāl-o-nūr kī bātoñ meñ gum huā
phir daaġh daaġh sun ke sisakne lagā hai chāñd
bhole ke sar pe bhī yahī gumbad pe bhī yahī
tū kyoñ siyāsatoñ meñ ulajhne lagā hai chāñd
ammāñ khaḌī hai paas meñ thālī paros kar
barsoñ ke baad phir mirā maamā banā hai chāñd
goya laTon ki Dor se bandha hua hai chand
dekho siyah zulf mein kaise phansa hai chand
punam ke baad dekha nahin sat din use
main ne suna hai ruTh kar aadha hua hai chand
pahle jamal-o-nur ki baaton mein gum hua
phir dagh dagh sun ke sisakne laga hai chand
bhole ke sar pe bhi yahi gumbad pe bhi yahi
tu kyon siyasaton mein ulajhne laga hai chand
amman khaDi hai pas mein thaali paros kar
barson ke baad phir mera mama bana hai chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.