guftar mein wo apni bebak ho gaya hai
guftār meñ vo apnī bebāk ho gayā hai
jaise ki har kamī se vo paak ho gayā hai
āñkhoñ kī putliyoñ meñ Thahrā vahī hai manzar
jis se ki dil hamārā sad-chāk ho gayā hai
rakhnā paḌegā phir bhī ham ko bharam vafā kā
maanā ki jalte jalte dil ḳhaak ho gayā hai
rakkhūñ maiñ kaise āḳhir zaḳhmoñ pe apne marham
har ġham mire badan kī poshāk ho gayā hai
kahne ko ham se bichhḌā ik shaḳhs 'fauziya' par
māhaul kyoñ ye saarā namnāk ho gayā hai
guftar mein wo apni bebak ho gaya hai
jaise ki har kami se wo pak ho gaya hai
aankhon ki putliyon mein Thahra wahi hai manzar
jis se ki dil hamara sad-chaak ho gaya hai
rakhna paDega phir bhi hum ko bharam wafa ka
mana ki jalte jalte dil KHak ho gaya hai
rakkhun main kaise aaKHir zaKHmon pe apne marham
har gham mere badan ki poshak ho gaya hai
kahne ko hum se bichhDa ek shaKHs 'fauziya' par
mahaul kyon ye sara namnak ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.