guhar ko jauhari sarraf zar ko dekhte hain
guhar ko jauharī sarrāf zar ko dekhte haiñ
bashar ke haiñ jo mubassir bashar ko dekhte haiñ
na ḳhuub o zisht na aib-o-hunar ko dekhte haiñ
ye chiiz kyā hai bashar ham bashar ko dekhte haiñ
vo dekheñ bazm meñ pahle kidhar ko dekhte haiñ
mohabbat aaj tire ham asar ko dekhte haiñ
vo apnī burrish-e-teġh-e-nazar ko dekhte haiñ
ham un ko dekhte haiñ aur jigar ko dekhte haiñ
jab apne girya o soz-e-jigar ko dekhte haiñ
sulagtī aag meñ ham ḳhushk-o-tar ko dekhte haiñ
rafīq jab mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
to chārāgar unheñ vo chārāgar ko dekhte haiñ
na tumtarāq ko ne karr-o-far ko dekhte haiñ
ham aadmī ke sifāt o siyar ko dekhte haiñ
jo raat ḳhvāb meñ us fitna-gar ko dekhte haiñ
na pūchh ham jo qayāmat sahar ko dekhte haiñ
vo roz ham ko guzartā hai jaise 'iid kā din
kabhī jo shakl tumhārī sahar ko dekhte haiñ
jahāñ ke ā.inoñ se dil kā aa.ina hai judā
is aa.ine meñ ham ā.īna-gar ko dekhte haiñ
banā ke ā.īna dekhe hai pahle ā.īna-gar
hunar-var apne hī aib-o-hunar ko dekhte haiñ
guhar ko jauhari sarraf zar ko dekhte hain
bashar ke hain jo mubassir bashar ko dekhte hain
na KHub o zisht na aib-o-hunar ko dekhte hain
ye chiz kya hai bashar hum bashar ko dekhte hain
wo dekhen bazm mein pahle kidhar ko dekhte hain
mohabbat aaj tere hum asar ko dekhte hain
wo apni burrish-e-tegh-e-nazar ko dekhte hain
hum un ko dekhte hain aur jigar ko dekhte hain
jab apne girya o soz-e-jigar ko dekhte hain
sulagti aag mein hum KHushk-o-tar ko dekhte hain
rafiq jab mere zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
to chaaragar unhen wo chaaragar ko dekhte hain
na tumtaraq ko ne karr-o-far ko dekhte hain
hum aadmi ke sifat o siyar ko dekhte hain
jo raat KHwab mein us fitna-gar ko dekhte hain
na puchh hum jo qayamat sahar ko dekhte hain
wo roz hum ko guzarta hai jaise 'id ka din
kabhi jo shakl tumhaari sahar ko dekhte hain
jahan ke aainon se dil ka aaina hai juda
is aaine mein hum aaina-gar ko dekhte hain
bana ke aaina dekhe hai pahle aaina-gar
hunar-war apne hi aib-o-hunar ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.