gul-badan KHak-nashinon se pare haT jaen
gul-badan ḳhāk-nashīnoñ se pare haT jaa.eñ
āsmāñ ujlī zamīnoñ se pare haT jaa.eñ
maiñ bhī dekhūñ to sahī biphre samundar kā mizāj
ab ye mallāh safīnoñ se pare haT jaa.eñ
karne vaalā huuñ diloñ par maiñ mohabbat kā nuzūl
saare bū-jahl madīnoñ se pare haT jaa.eñ
maiñ ḳhalāoñ ke safar par huuñ nikalne vaalā
chāñd sūraj mire zīnoñ se pare haT jaa.eñ
ab to ham zāhirī sajde bhī tire chhoḌ chuke
ab to ye daaġh jabīnoñ se pare haT jaa.eñ
gul-badan KHak-nashinon se pare haT jaen
aasman ujli zaminon se pare haT jaen
main bhi dekhun to sahi biphre samundar ka mizaj
ab ye mallah safinon se pare haT jaen
karne wala hun dilon par main mohabbat ka nuzul
sare bu-jahl madinon se pare haT jaen
main KHalaon ke safar par hun nikalne wala
chand suraj mere zinon se pare haT jaen
ab to hum zahiri sajde bhi tere chhoD chuke
ab to ye dagh jabinon se pare haT jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.