gul bhi ho sakta hai aur jam bhi ho sakta hai
gul bhī ho saktā hai aur jaam bhī ho saktā hai
husn kā tere koī naam bhī ho saktā hai
apne kirdār se ai naam kamāne vaale
terī ḳhātir koī badnām bhī ho saktā hai
apnī tāqat pe na itrā tū zarā soch to le
terā fir'aun sā anjām bhī ho saktā hai
rāz-e-dil us se chhupā.e hue maiñ baiThā huuñ
us ko batlā.ūñ to kohrām bhī ho saktā hai
gul bhi ho sakta hai aur jam bhi ho sakta hai
husn ka tere koi nam bhi ho sakta hai
apne kirdar se ai nam kamane wale
teri KHatir koi badnam bhi ho sakta hai
apni taqat pe na itra tu zara soch to le
tera fir'aun sa anjam bhi ho sakta hai
raaz-e-dil us se chhupae hue main baiTha hun
us ko batlaun to kohram bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.