gul-e-rangin mah-e-kaamil kahan hai
gul-e-rañgīñ mah-e-kāmil kahāñ hai
mujhe āvāz de ai dil kahāñ hai
hai ḳhud gumrāh aql-e-maslahat meñ
junūñ se pūchhiye manzil kahāñ hai
har ik shai is muhīt-e-zindagī meñ
fareb-e-mauj hai sāhil kahāñ hai
na iThlā ai nasīm-e-sub.h-gāhī
ḳhudā jaane mirā ab dil kahāñ hai
dar-e-māzī jabīn-e-hāl kab tak
batā ai mere mustaqbil kahāñ hai
na ma.alūm ai sukūn-e-kāmrānī
vo lutf-e-sa.ī-e-lā-hāsil kahāñ hai
bahār aa.egī ashk-e-sāda-rū par
abhī ḳhūn-e-jigar shāmil kahāñ hai
vo dil jis ko mayassar hai huzūrī
asīr-e-bazm-e-āb-o-gil kahāñ hai
jise samjhā hai 'faiz' ā.īna-e-haq
vo be-aks-e-ruḳh-e-bātil kahāñ hai
gul-e-rangin mah-e-kaamil kahan hai
mujhe aawaz de ai dil kahan hai
hai KHud gumrah aql-e-maslahat mein
junun se puchhiye manzil kahan hai
har ek shai is muhit-e-zindagi mein
fareb-e-mauj hai sahil kahan hai
na iThla ai nasim-e-subh-gahi
KHuda jaane mera ab dil kahan hai
dar-e-mazi jabin-e-haal kab tak
bata ai mere mustaqbil kahan hai
na malum ai sukun-e-kaamrani
wo lutf-e-sai-e-la-hasil kahan hai
bahaar aaegi ashk-e-sada-ru par
abhi KHun-e-jigar shamil kahan hai
wo dil jis ko mayassar hai huzuri
asir-e-bazm-e-ab-o-gil kahan hai
jise samjha hai 'faiz' aaina-e-haq
wo be-aks-e-ruKH-e-baatil kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.