gul-e-ushshaq rang-e-baKHta hai
gul-e-ushshāq rañg-e-bāḳhtā hai
sarv apne chaman kā fāḳhta hai
ātish-e-ġham se aab sañg hue
ashk ā.īna-e-gudāḳhta hai
ishq baalā hai husn-e-sarkash se
sāya-e-sarv bāl-e-fāḳhta hai
koī kahtā asīr-e-sāġhar ko
hind meñ bhī huā marāḳhta hai
dekh saudā 'razā' kā dīvāne
terā majnūñ junūn-e-sāḳhta hai
gul-e-ushshaq rang-e-baKHta hai
sarw apne chaman ka faKHta hai
aatish-e-gham se aab sang hue
ashk aaina-e-gudaKHta hai
ishq baala hai husn-e-sarkash se
saya-e-sarw baal-e-faKHta hai
koi kahta asir-e-saghar ko
hind mein bhi hua maraKHta hai
dekh sauda 'raza' ka diwane
tera majnun junun-e-saKHta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.