gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne
gul kā kiyā jo chaak garebāñ bahār ne
dast-e-junūñ lage mire kapḌe utārne
chhoḌā kahīñ na mujh ko nasīm-e-bahār ne
kunj-e-qafas meñ bhī mujhe aa.ī ubhārne
ab dil kī laaj mashq-e-tasavvur ke haath hai
shīsha meñ us parī ko chalā hai utārne
saaqī to saaqī bāda-parastoñ ke paañv par
sajde kirā.e laġhzish-e-mastāna-vār ne
ab to nazar meñ daulat-e-kaunain hech hai
jab tujh ko pā liyā dil-e-ummīd-vār ne
chashm-e-adā-shanās ko hairān kar diyā
husn apnā zarre zarre meñ dikhlā ke yaar ne
'bedam' tumhārī āñkheñ haiñ kyā arsh kā charāġh
raushan kiyā hai naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār ne
gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne
dast-e-junun lage mere kapDe utarne
chhoDa kahin na mujh ko nasim-e-bahaar ne
kunj-e-qafas mein bhi mujhe aai ubhaarne
ab dil ki laj mashq-e-tasawwur ke hath hai
shisha mein us pari ko chala hai utarne
saqi to saqi baada-paraston ke panw par
sajde kirae laghzish-e-mastana-war ne
ab to nazar mein daulat-e-kaunain hech hai
jab tujh ko pa liya dil-e-ummid-war ne
chashm-e-ada-shanas ko hairan kar diya
husn apna zarre zarre mein dikhla ke yar ne
'bedam' tumhaari aankhen hain kya arsh ka charagh
raushan kiya hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.