gul ko bu bulbul ko naghma chahiye
gul ko bū bulbul ko naġhma chāhiye
ai dil-e-muztar tujhe kyā chāhiye
nīm-shab meñ ho tulū'-e-āftāb
ai ġham-e-dil aisā naġhma chāhiye
ye sitāre qatra-e-shabnam baneñ
soz-e-dil pur-dard naala chāhiye
tū bahut achchhā hai lekin ai nigār
dil ko kuchh tujh se bhī achchhā chāhiye
merī hastī ko 'ināyat kī nazar
ḳhirman-e-dahqāñ ko sho'la chāhiye
ramz-e-ulfat hai yahī ahl-e-vafā
aa.ina dil kā shikasta chāhiye
gesū-e-jānāñ agar suljhā to kyā
gesū-e-getī sañvarnā chāhiye
zindagī-e-ḳhizr kī hājat nahīñ
sarḳhushī kā ek lamha chāhiye
dil kī ḳhvāhish hājat-e-darvesh hai
tere dar se kuchh to milnā chāhiye
maiñ nasīm-e-sub.h huuñ mujh se hijāb
ai urūs-e-lāla aisā chāhiye
'tāj' hai banda tirā husn-e-azal
kyā bhalā is se bhī parda chāhiye
gul ko bu bulbul ko naghma chahiye
ai dil-e-muztar tujhe kya chahiye
nim-shab mein ho tulu'-e-aftab
ai gham-e-dil aisa naghma chahiye
ye sitare qatra-e-shabnam banen
soz-e-dil pur-dard nala chahiye
tu bahut achchha hai lekin ai nigar
dil ko kuchh tujh se bhi achchha chahiye
meri hasti ko 'inayat ki nazar
KHirman-e-dahqan ko sho'la chahiye
ramz-e-ulfat hai yahi ahl-e-wafa
aaina dil ka shikasta chahiye
gesu-e-jaanan agar suljha to kya
gesu-e-geti sanwarna chahiye
zindagi-e-KHizr ki hajat nahin
sarKHushi ka ek lamha chahiye
dil ki KHwahish hajat-e-darwesh hai
tere dar se kuchh to milna chahiye
main nasim-e-subh hun mujh se hijab
ai urus-e-lala aisa chahiye
'taj' hai banda tera husn-e-azal
kya bhala is se bhi parda chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.