gul mein shafaq mein chand mein taron mein kho gae
gul mein shafaq mein chand mein taron mein kho gae
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
gul meñ shafaq meñ chāñd meñ tāroñ meñ kho ga.e
vo ek aap haiñ jo hazāroñ meñ kho ga.e
ahl-e-vafā ke naam to zinda haiñ aaj bhī
go un ke jism kab ke mazāroñ meñ kho ga.e
ahl-e-vafā ke naam to zinda haiñ aaj bhī
go un ke jism kab ke mazāroñ meñ kho ga.e
jab dil milā to ham tirī yādeñ sameT laa.e
nazreñ milīñ to tere nazāroñ meñ kho ga.e
ḳhāmosh yuuñ hue haiñ mire dil meñ valvale
jaise bagūle rāh-guzāroñ meñ kho ga.e
'nādim' sadā-e-dair-o-haram phir na sun sake
ham jab se apne dil kī pukāroñ meñ kho ga.e
gul mein shafaq mein chand mein taron mein kho gae
wo ek aap hain jo hazaron mein kho gae
ahl-e-wafa ke nam to zinda hain aaj bhi
go un ke jism kab ke mazaron mein kho gae
ahl-e-wafa ke nam to zinda hain aaj bhi
go un ke jism kab ke mazaron mein kho gae
jab dil mila to hum teri yaaden sameT lae
nazren milin to tere nazaron mein kho gae
KHamosh yun hue hain mere dil mein walwale
jaise bagule rah-guzaron mein kho gae
'nadim' sada-e-dair-o-haram phir na sun sake
hum jab se apne dil ki pukaron mein kho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.