gul-o-saman nahin gulchin to Khaar rahne de
gul-o-saman nahin gulchin to Khaar rahne de
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
gul-o-saman nahīñ gulchīñ to ḳhaar rahne de
chaman meñ kuchh to nishān-e-bahār rahne de
tujhe junūñ kī qasam ai dil-e-sukūñ-dushman
tamām umr mujhe be-qarār rahne de
kahīñ na hasrat-e-ḳhvābīda phir se jaag uThe
navāzish-e-nigah-e-fitna-kār rahne de
fareb-e-va.ada-e-fardā bahut ġhanīmat hai
mizāj-e-dost agar ustuvār rahne de
ye hādsāt-e-mohabbat haiñ aaj bhī dilkash
agar sukūñ se ġham-e-rozgār rahne de
nafas nafas hai mohabbat meñ dā.imī 'jauhar'
magar jo zindagī-e-musta.ār rahne de
gul-o-saman nahin gulchin to KHar rahne de
chaman mein kuchh to nishan-e-bahaar rahne de
tujhe junun ki qasam ai dil-e-sukun-dushman
tamam umr mujhe be-qarar rahne de
kahin na hasrat-e-KHwabida phir se jag uThe
nawazish-e-nigah-e-fitna-kar rahne de
fareb-e-wada-e-farda bahut ghanimat hai
mizaj-e-dost agar ustuwar rahne de
ye hadsat-e-mohabbat hain aaj bhi dilkash
agar sukun se gham-e-rozgar rahne de
nafas nafas hai mohabbat mein daimi 'jauhar'
magar jo zindagi-e-mustaar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.