gul-ruKHon ne kiye hain sair ka ThaT
gul-ruḳhoñ ne kiye haiñ sair kā ThaaT
gulshan-ābād kā bharā hai haaT
teġh-e-abrū señ maiñ shahīd huā
is surūhī kā kyā balā hai kaaT
dil meñ aa rāh-e-chashm-e-hairāñ señ
khul rahe haiñ mirī palak ke paaT
zahr haiñ us kuuñ ne.amat-e-alvān
lazzat-e-ishq kī jise hai chaaT
nahīñ asar tīr-e-āh kuuñ is meñ
dil-e-sañgīñ tirā hai lohā laaT
panja-e-ishq ke shikanja señ
maiñ huā shash-jihat meñ baara baaT
ai 'sirāj' ashk ke charāġhoñ kuuñ
na.e mizhgāñ señ ham ne bāñdhe ThaaT
gul-ruKHon ne kiye hain sair ka ThaT
gulshan-abaad ka bhara hai haT
tegh-e-abru sen main shahid hua
is suruhi ka kya bala hai kaT
dil mein aa rah-e-chashm-e-hairan sen
khul rahe hain meri palak ke paT
zahr hain us kun neamat-e-alwan
lazzat-e-ishq ki jise hai chaT
nahin asar tir-e-ah kun is mein
dil-e-sangin tera hai loha laT
panja-e-ishq ke shikanja sen
main hua shash-jihat mein bara baT
ai 'siraj' ashk ke charaghon kun
nae mizhgan sen hum ne bandhe ThaT
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 370)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.