gul tera rang chura lae hain gulzaron mein
gul tirā rang churā laa.e haiñ gulzāroñ meñ
jal rahā huuñ bharī barsāt kī bauchhāroñ meñ
mujh se katrā ke nikal jā magar ai jān-e-hayā
dil kī lau dekh rahā huuñ tire ruḳhsāroñ meñ
husn-e-be-gāna-e-ehsās-e-jamāl achchhā hai
ġhunche khilte haiñ to bik jaate haiñ bāzāroñ meñ
zikr karte haiñ tirā mujh se ba-unvān-e-jafā
chāra-gar phuul piro laa.e haiñ talvāroñ meñ
zaḳhm chhup sakte haiñ lekin mujhe fan kī saugand
ġham kī daulat bhī hai shāmil mire shahkāroñ meñ
muntazir haiñ ki koī tesha-e-taḳhlīq uThā.e
kitne asnām abhī dafn haiñ kohsāroñ meñ
mujh ko nafrat se nahīñ pyaar se maslūb karo
maiñ to shāmil huuñ mohabbat ke gunahgāroñ meñ
gul tera rang chura lae hain gulzaron mein
jal raha hun bhari barsat ki bauchhaaron mein
mujh se katra ke nikal ja magar ai jaan-e-haya
dil ki lau dekh raha hun tere ruKHsaron mein
husn-e-be-gana-e-ehsas-e-jamal achchha hai
ghunche khilte hain to bik jate hain bazaron mein
zikr karte hain tera mujh se ba-unwan-e-jafa
chaara-gar phul piro lae hain talwaron mein
zaKHm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugand
gham ki daulat bhi hai shamil mere shahkaron mein
muntazir hain ki koi tesha-e-taKHliq uThae
kitne asnam abhi dafn hain kohsaron mein
mujh ko nafrat se nahin pyar se maslub karo
main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.