gulāb āñkheñ sharāb āñkheñ
yahī to haiñ lā-javāb āñkheñ
inhīñ meñ ulfat inhīñ meñ nafrat
savāl āñkheñ javāb āñkheñ
kabhī nazar meñ balā kī shoḳhī
kabhī sarāpā hijāb āñkheñ
kabhī chhupātī haiñ haal dil ke
kabhī haiñ dil kī kitāb āñkheñ
kisī ne dekhīñ to jhiil jaisī
kisī ne pā.īñ sharāb āñkheñ
vo aa.e to log mujh se bole
huzūr āñkheñ janāb āñkheñ
gulab aankhen sharab aankhen
yahi to hain la-jawab aankhen
inhin mein ulfat inhin mein nafrat
sawal aankhen jawab aankhen
kabhi nazar mein bala ki shoKHi
kabhi sarapa hijab aankhen
kabhi chhupati hain haal dil ke
kabhi hain dil ki kitab aankhen
kisi ne dekhin to jhil jaisi
kisi ne pain sharab aankhen
wo aae to log mujh se bole
huzur aankhen janab aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.