gulabi honTh ye qashqa tumhaara
gulābī hoñTh ye qashqa tumhārā
mujhe bhāne lagā chehra tumhārā
laboñ ko paḌ ga.ī aadat laboñ kī
bahut mahñgā paḌā bosa tumhārā
makān-e-jism yuuñ to Dah gayā par
qayāmat Dhā rahā malba tumhārā
maiñ jab bhī sochtā huuñ ḳhud-kushī kī
bachātā hai mujhe chehra tumhārā
hameñ bichhḌe hue arsa huā par
abhī tak dil meñ hai nashsha tumhārā
gulabi honTh ye qashqa tumhaara
mujhe bhane laga chehra tumhaara
labon ko paD gai aadat labon ki
bahut mahnga paDa bosa tumhaara
makan-e-jism yun to Dah gaya par
qayamat Dha raha malba tumhaara
main jab bhi sochta hun KHud-kushi ki
bachata hai mujhe chehra tumhaara
hamein bichhDe hue arsa hua par
abhi tak dil mein hai nashsha tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.