gulabon ke nasheman se mere mahbub ke sar tak
gulabon ke nasheman se mere mahbub ke sar tak
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
gulāboñ ke nasheman se mire mahbūb ke sar tak
safar lambā thā ḳhushbū kā magar aa hī ga.ī ghar tak
vafā kī saltanat iqlīm-e-vāda sar-zamīn-e-dil
nazar kī zad meñ hai ḳhvāboñ se tābīroñ ke kishvar tak
kahīñ bhī sar-nigūñ hotā nahīñ iḳhlās kā parcham
judā.ī ke jazīre se mohabbat ke samundar tak
mohabbat ai mohabbat ek jazbe kī masāfat hai
mire āvāra sajde se tirī chaukhaT ke patthar tak
udāsī mū-qalam hai naqsh meñ rañg-e-malāl ubhrā
tamannāoñ ke pas-manzar se dil ke pesh-e-manzar tak
gulabon ke nasheman se mere mahbub ke sar tak
safar lamba tha KHushbu ka magar aa hi gai ghar tak
wafa ki saltanat iqlim-e-wada sar-zamin-e-dil
nazar ki zad mein hai KHwabon se tabiron ke kishwar tak
kahin bhi sar-nigun hota nahin iKHlas ka parcham
judai ke jazire se mohabbat ke samundar tak
mohabbat ai mohabbat ek jazbe ki masafat hai
mere aawara sajde se teri chaukhaT ke patthar tak
udasi mu-qalam hai naqsh mein rang-e-malal ubhra
tamannaon ke pas-manzar se dil ke pesh-e-manzar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.