gulabon si tumhaari yaad har jaanib mahakti hai
gulabon si tumhaari yaad har jaanib mahakti hai
Shamshad Jaleel Shad
MORE BYShamshad Jaleel Shad
gulāboñ sī tumhārī yaad har jānib mahaktī hai
tumhārī justujū meñ ab havā kī rū bhaTaktī hai
jahāñ bhar meñ hazāroñ boliyāñ mīThī bahut lekin
mirī urdu zabāñ un meñ nagīne sī chamaktī hai
buzurgoñ kī nishānī hai jise chādar maiñ kahtī huuñ
use jab oḌh letī huuñ mirī sūrat damaktī hai
sukūñ miltā mujhe ye jaan kar beTī bahut ḳhush hai
tabhī to ḳhvāb meñ aa kar vo hañstī hai chahaktī hai
nazar jab aap kī hogī khuleñge baab rahmat ke
vagarna rūh-e-insānī añdheroñ meñ bhaTaktī hai
jo ḳhvāhish ho nahīñ saktī zamāne meñ kabhī puurī
dabā ke dard siine meñ vahī ḳhvāhish sisaktī hai
gulabon si tumhaari yaad har jaanib mahakti hai
tumhaari justuju mein ab hawa ki ru bhaTakti hai
jahan bhar mein hazaron boliyan miThi bahut lekin
meri urdu zaban un mein nagine si chamakti hai
buzurgon ki nishani hai jise chadar main kahti hun
use jab oDh leti hun meri surat damakti hai
sukun milta mujhe ye jaan kar beTi bahut KHush hai
tabhi to KHwab mein aa kar wo hansti hai chahakti hai
nazar jab aap ki hogi khulenge bab rahmat ke
wagarna ruh-e-insani andheron mein bhaTakti hai
jo KHwahish ho nahin sakti zamane mein kabhi puri
daba ke dard sine mein wahi KHwahish sisakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.