Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulsitan hai na aashiyan apna

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

gulsitan hai na aashiyan apna

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    gulsitāñ hai na āshiyāñ apnā

    kar chukī kaam ab ḳhizāñ apnā

    dil kahāñ hai jigar kahāñ apnā

    ab nahīñ koī rāzdāñ apnā

    chashm-e-tar hoñT ḳhushk chehra zard

    kah chukā hāl-e-be-zabāñ apnā

    gosha-e-qabr hai na qasr buland

    na zamīñ hai na āsmāñ apnā

    aañkh maa.il hai ashk-rezī par

    chal paḌā dil se kārvāñ apnā

    Dhal chukī 'umr vaqt-e-pīrī hai

    dil magar hai 'sahar' javāñ apnā

    gulsitan hai na aashiyan apna

    kar chuki kaam ab KHizan apna

    dil kahan hai jigar kahan apna

    ab nahin koi raazdan apna

    chashm-e-tar honT KHushk chehra zard

    kah chuka haal-e-be-zaban apna

    gosha-e-qabr hai na qasr buland

    na zamin hai na aasman apna

    aankh mail hai ashk-rezi par

    chal paDa dil se karwan apna

    Dhal chuki 'umr waqt-e-piri hai

    dil magar hai 'sahar' jawan apna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now