gulon ke darmiyan achchhi lagi hain
guloñ ke darmiyāñ achchhī lagī haiñ
hameñ ye titliyāñ achchhī lagī haiñ
galī meñ koī ghar achchhā nahīñ thā
magar kuchh khiḌkiyāñ achchhī lagī haiñ
nahā kar bhīge bāloñ ko sukhātī
chhatoñ par laḌkiyāñ achchhī lagī haiñ
hinā.ī haath darvāze se bāhar
aur us meñ chūḌiyāñ achchhī lagī haiñ
bichhaḌte vaqt aisā bhī huā hai
kisī kī siskiyāñ achchhī lagī haiñ
hasīnoñ ko liye baiTheñ haiñ 'alvī'
tabhī to kursiyāñ achchhī lagī haiñ
gulon ke darmiyan achchhi lagi hain
hamein ye titliyan achchhi lagi hain
gali mein koi ghar achchha nahin tha
magar kuchh khiDkiyan achchhi lagi hain
naha kar bhige baalon ko sukhati
chhaton par laDkiyan achchhi lagi hain
hinai hath darwaze se bahar
aur us mein chuDiyan achchhi lagi hain
bichhaDte waqt aisa bhi hua hai
kisi ki siskiyan achchhi lagi hain
hasinon ko liye baiThen hain 'alwi'
tabhi to kursiyan achchhi lagi hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 89)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.