gulon ki KHun-shudgi ko shaguftagi na samajh
gulon ki KHun-shudgi ko shaguftagi na samajh
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
guloñ kī ḳhūñ-shudgī ko shaguftagī na samajh
hujūm-e-rañg se andāza-e-bahār na kar
kuchh ehtirām bhī kar ġham kī vaz.a-dārī kā
girāñ hai arz-e-tamannā to baar baar na kar
vo aur pursish-e-ahl-e-vafā fareb na khā
dil aur tark-e-ġham-e-yār e'tibār na kar
ḳhizāñ ke saiñkaḌoñ manzar haiñ ai fareb-e-ḳhayāl
tulū-e-sub.h-e-bahārāñ kā e'tibār na kar
gulon ki KHun-shudgi ko shaguftagi na samajh
hujum-e-rang se andaza-e-bahaar na kar
kuchh ehtiram bhi kar gham ki waza-dari ka
giran hai arz-e-tamanna to bar bar na kar
wo aur pursish-e-ahl-e-wafa fareb na kha
dil aur tark-e-gham-e-yar e'tibar na kar
KHizan ke sainkaDon manzar hain ai fareb-e-KHayal
tulu-e-subh-e-bahaaran ka e'tibar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.