gulon mein rang bharega mujhe ye fikr nahin
guloñ meñ rang bharegā mujhe ye fikr nahīñ
chīnār phir se jalegā mujhe ye fikr nahīñ
vo uuñT sūñgh ke mahmil-nashīnoñ kī ḳhushbū
uThegā yā na uThegā mujhe ye fikr nahīñ
vo mere aage koī morcha sambhālegā
ki mere pīchhe chhupegā mujhe ye fikr nahīñ
havā.eñ sang ko tālīm-e-habas--e-dam deñ yā
shajar vazīfa paḌhegā mujhe ye fikr nahīñ
maiñ DevḌhī pe to laTkā ke aa gayā ghanTāl
bajegā yā na bajegā mujhe ye fikr nahīñ
havā-e-tāza mujhe chāhiye darīcha khol
charāġh kis kā bujhegā mujhe ye fikr nahīñ
maiñ apne said ko kachchā chabā gayā ab alaav
jalegā yā na jalegā mujhe ye fikr nahīñ
gulon mein rang bharega mujhe ye fikr nahin
chinar phir se jalega mujhe ye fikr nahin
wo unT sungh ke mahmil-nashinon ki KHushbu
uThega ya na uThega mujhe ye fikr nahin
wo mere aage koi morcha sambhaalega
ki mere pichhe chhupega mujhe ye fikr nahin
hawaen sang ko talim-e-habas--e-dam den ya
shajar wazifa paDhega mujhe ye fikr nahin
main DewDhi pe to laTka ke aa gaya ghanTal
bajega ya na bajega mujhe ye fikr nahin
hawa-e-taza mujhe chahiye daricha khol
charagh kis ka bujhega mujhe ye fikr nahin
main apne said ko kachcha chaba gaya ab alaw
jalega ya na jalega mujhe ye fikr nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.