gulon par saf dhoka ho gaya rangin kaTori ka
guloñ par saaf dhokā ho gayā rañgīñ kaTorī kā
rag-e-gul meñ jo aalam thā tirī añgiyā kī Dorī kā
barābar ek se misre nazar aate haiñ abrū ke
tavārud kahiye yā hai ek meñ mazmūn chorī kā
bahut ġham khāte khāte ik-na-ik din jaan jā.egī
zarar rakhtā hai ai dilbar natīja ser-ḳhorī kā
huā hai ham ko ik mutrib pisar kī zulf kā saudā
hamārā shor-e-vahshat bhī ye ik paTTā hai shorī kā
ḳhafā ho gāliyāñ do chāho aane do na aane do
maiñ bose lūñgā sote meñ mujhe lapkā hai chorī kā
agar tum bosa-e-seb-e-zaqan se ho ga.e qātil
gale par pher diije mere chāqū meva-ḳhorī kā
koī shaidā-e-āriz hai koī zulfoñ kā dīvāna
kisī ko ishq kaalī kā koī āshiq hai gorī kā
kahīñ ho achchhī sūrat dekh luuñ dīdār nazroñ se
mirī āñkhoñ ko choroñ kī tarah lapkā hai chorī kā
misī-ālūd lab chūse jo us ke balbe shīrīnī
mazā aayā mire muñh meñ siyah ponDe kī puurī kā
shab-e-ġham meñ fuġhāñ kartā huuñ jab tham jaate haiñ aañsū
tamāshā dekho tifl-e-ashk bhī ḳhūgar hai lorī kā
na bāñdho sher meñ duzd-e-hinā kā ai 'qalaq' mazmūñ
kahegā yaar shoḳhī se ye hai mazmūn chorī kā
gulon par saf dhoka ho gaya rangin kaTori ka
rag-e-gul mein jo aalam tha teri angiya ki Dori ka
barabar ek se misre nazar aate hain abru ke
tawarud kahiye ya hai ek mein mazmun chori ka
bahut gham khate khate ik-na-ik din jaan jaegi
zarar rakhta hai ai dilbar natija ser-KHori ka
hua hai hum ko ek mutrib pisar ki zulf ka sauda
hamara shor-e-wahshat bhi ye ek paTTa hai shori ka
KHafa ho galiyan do chaho aane do na aane do
main bose lunga sote mein mujhe lapka hai chori ka
agar tum bosa-e-seb-e-zaqan se ho gae qatil
gale par pher dije mere chaqu mewa-KHori ka
koi shaida-e-ariz hai koi zulfon ka diwana
kisi ko ishq kali ka koi aashiq hai gori ka
kahin ho achchhi surat dekh lun didar nazron se
meri aankhon ko choron ki tarah lapka hai chori ka
misi-alud lab chuse jo us ke balbe shirini
maza aaya mere munh mein siyah ponDe ki puri ka
shab-e-gham mein fughan karta hun jab tham jate hain aansu
tamasha dekho tifl-e-ashk bhi KHugar hai lori ka
na bandho sher mein duzd-e-hina ka ai 'qalaq' mazmun
kahega yar shoKHi se ye hai mazmun chori ka
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.