gulshan-e-be-bahaar hain hum log
gulshan-e-be-bahār haiñ ham log
dāman-e-ḳhārzār haiñ ham log
chashm-e-kotāh-bīñ ko kyā hai ḳhabar
ḳhud hī apne shikār haiñ ham log
aa.ina bhī yaqīñ na kar paa.e
aise be-e'tibār haiñ ham log
kis qadar pur-sukūn hai duniyā
kis qadar be-qarār haiñ ham log
vaqt ke nā-tamām sahrā meñ
zindagī kā mazār haiñ ham log
aap apnī talāsh meñ gum haiñ
aap ḳhud se farār haiñ ham log
ai shab-e-intizār kī ḳhalvat
kyā tire rāzdār haiñ ham log
ahd-shkinī tire zamāne meñ
ahd-nā-pā.edār haiñ ham log
apne andar se haiñ faqat anqā
baaqī sab meñ shumār haiñ ham log
'shams' ḳhud ko hī bas nahīñ milte
ek DhūñDo hazār haiñ ham log
gulshan-e-be-bahaar hain hum log
daman-e-KHarzar hain hum log
chashm-e-kotah-bin ko kya hai KHabar
KHud hi apne shikar hain hum log
aaina bhi yaqin na kar pae
aise be-e'tibar hain hum log
kis qadar pur-sukun hai duniya
kis qadar be-qarar hain hum log
waqt ke na-tamam sahra mein
zindagi ka mazar hain hum log
aap apni talash mein gum hain
aap KHud se farar hain hum log
ai shab-e-intizar ki KHalwat
kya tere raazdar hain hum log
ahd-shkini tere zamane mein
ahd-na-paedar hain hum log
apne andar se hain faqat anqa
baqi sab mein shumar hain hum log
'shams' KHud ko hi bas nahin milte
ek DhunDo hazar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.