gulshan ka sana-KHwan hun bayaban mein paDa hun
gulshan kā sanā-ḳhvāñ huuñ bayābāñ meñ paḌā huuñ
taa.ir huuñ magar gosha-e-zindāñ meñ paḌā huuñ
huuñ muntazir-e-qāfila-e-misr-e-tamannā
yūsuf huuñ abhī chāh-e-bayābāñ meñ paḌā huuñ
miltā nahīñ bāzār se pairāhan-e-yūsuf
yāqūb huuñ tārīkī-e-kan.āñ meñ paḌā huuñ
āñkhoñ pe hai ik manzar-e-kam-dīda kā parda
maiñ kab se tirī yaad ke zindāñ meñ paḌā huuñ
tū hai ki mujhe duur se kartā hai ishāre
maiñ huuñ ki rah-e-husn-e-gurezāñ meñ paḌā huuñ
maanā ki nahīñ 'arsh' koī gosh-bar-āvāz
kyā kam hai ki maiñ kūcha-e-jānāñ meñ paḌā huuñ
gulshan ka sana-KHwan hun bayaban mein paDa hun
tair hun magar gosha-e-zindan mein paDa hun
hun muntazir-e-qafila-e-misr-e-tamanna
yusuf hun abhi chah-e-bayaban mein paDa hun
milta nahin bazar se pairahan-e-yusuf
yaqub hun tariki-e-kanan mein paDa hun
aankhon pe hai ek manzar-e-kam-dida ka parda
main kab se teri yaad ke zindan mein paDa hun
tu hai ki mujhe dur se karta hai ishaare
main hun ki rah-e-husn-e-gurezan mein paDa hun
mana ki nahin 'arsh' koi gosh-bar-awaz
kya kam hai ki main kucha-e-jaanan mein paDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.