gulshan ki faza dhuan dhuan hai
gulshan kī fazā dhuāñ dhuāñ hai
kahte haiñ bahār kā samāñ hai
bikhrī huī pattiyāñ haiñ gul kī
TuuTī huī shāḳh-e-āshiyāñ hai
jis dil se ubhar rahe the naġhme
pahlū meñ vo aaj nauha-ḳhvāñ hai
ham hī nahīñ pā.emāl tanhā
ai dost tabāh ik jahāñ hai
'jālib' vo kahāñ hai ishq terā
pyāre vo ġhazal tirī kahāñ hai
gulshan ki faza dhuan dhuan hai
kahte hain bahaar ka saman hai
bikhri hui pattiyan hain gul ki
TuTi hui shaKH-e-ashiyan hai
jis dil se ubhar rahe the naghme
pahlu mein wo aaj nauha-KHwan hai
hum hi nahin paemal tanha
ai dost tabah ek jahan hai
'jalib' wo kahan hai ishq tera
pyare wo ghazal teri kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.