Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulshan ko bahaaron ne is tarah nawaza hai

Saghar Azmi

gulshan ko bahaaron ne is tarah nawaza hai

Saghar Azmi

MORE BYSaghar Azmi

    gulshan ko bahāroñ ne is tarah navāzā hai

    har shāḳh ke kāñdhe par kaliyoñ janāza hai

    kis tarah bhulā.eñ ham is shahr ke hañgāme

    har dard abhī baaqī hai har zaḳhm abhī taaza hai

    mastī bhī umīdeñ bhī hasrat bhī udāsī bhī

    mujh ko tirī āñkhoñ ne har tarah navāzā hai

    miTTī tarah ik din uḌ jā.egā rāhoñ se

    sab shor machāte haiñ jab tak lahū taazā hai

    ye raakh makānoñ zaayā na karo 'sāġhar'

    ye ahl-e-siyāsat ke ruḳhsār ġhāza hai

    gulshan ko bahaaron ne is tarah nawaza hai

    har shaKH ke kandhe par kaliyon ka janaza hai

    kis tarah bhulaen hum is shahr ke hangame

    har dard abhi baqi hai har zaKHm abhi taza hai

    masti bhi umiden bhi hasrat bhi udasi bhi

    mujh ko teri aankhon ne har tarah nawaza hai

    miTTi ki tarah ek din uD jaega rahon se

    sab shor machate hain jab tak lahu taza hai

    ye rakh makanon ki zaya na karo 'saghar'

    ye ahl-e-siyasat ke ruKHsar ka ghaza hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now